main band aankhon se kab talak ye ghubaar dekhoon | मैं बंद आँखों से कब तलक ये ग़ुबार देखूँ - Ahmad Mahfuz

main band aankhon se kab talak ye ghubaar dekhoon
koi to manzar siyaah dariya ke paar dekhoon

kabhi vo aalam ki us taraf aankh hi na utthe
kabhi ye haalat ki us ko deewana-waar dekhoon

ye kaisa khun hai ki bah raha hai na jam raha hai
ye rang dekhoon ki dil jigar ka fishaar dekhoon

ye saari be-manzari savaad-e-sukoot se hai
sada vo chamke to dhund ke aar-paar dekhoon

tire siva bhi hazaar manzar hain dekhne ko
tujhe na dekhoon to kyun tira intizaar dekhoon

मैं बंद आँखों से कब तलक ये ग़ुबार देखूँ
कोई तो मंज़र सियाह दरिया के पार देखूँ

कभी वो आलम कि उस तरफ़ आँख ही न उठ्ठे
कभी ये हालत कि उस को दीवाना-वार देखूँ

ये कैसा ख़ूँ है कि बह रहा है न जम रहा है
ये रंग देखूँ कि दिल जिगर का फ़िशार देखूँ

ये सारी बे-मंज़री सवाद-ए-सुकूत से है
सदा वो चमके तो धुँद के आर-पार देखूँ

तिरे सिवा भी हज़ार मंज़र हैं देखने को
तुझे न देखूँ तो क्यूँ तिरा इंतिज़ार देखूँ

- Ahmad Mahfuz
0 Likes

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari