kisi ka aks-e-badan tha na vo sharaara tha | किसी का अक्स-ए-बदन था न वो शरारा था

  - Ahmad Mahfuz

kisi ka aks-e-badan tha na vo sharaara tha
to main ne khema-e-shab se kise pukaara tha

kahaan kisi ko thi furqat fuzool baaton ki
tamaam raat wahan zikr bas tumhaara tha

makaan mein kya koi wahshi hawa dar aayi thi
tamaam pairhan-e-khwaab paara paara tha

usi ko baar-e-digar dekhna nahin tha mujhe
main laut aaya ki manzar wahi dobara tha

subuk-sari ne giraani ajeeb ki dil par
hai ab ye bojh ki vo bojh kyun utaara tha

shab-e-siyaah safar ye bhi raayegaan to nahin
vo kya hua jo mere saath ik sitaara tha

किसी का अक्स-ए-बदन था न वो शरारा था
तो मैं ने ख़ेमा-ए-शब से किसे पुकारा था

कहाँ किसी को थी फ़ुर्सत फ़ुज़ूल बातों की
तमाम रात वहाँ ज़िक्र बस तुम्हारा था

मकाँ में क्या कोई वहशी हवा दर आई थी
तमाम पैरहन-ए-ख़्वाब पारा पारा था

उसी को बार-ए-दिगर देखना नहीं था मुझे
मैं लौट आया कि मंज़र वही दोबारा था

सुबुक-सरी ने गिरानी अजीब की दिल पर
है अब ये बोझ कि वो बोझ क्यूँ उतारा था

शब-ए-सियाह सफ़र ये भी राएगाँ तो नहीं
वो क्या हुआ जो मिरे साथ इक सितारा था

  - Ahmad Mahfuz

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari