aaya hi nahin koi bojh apna uthaane ko
kab tak main chhupa rakhta is khwaab-khazaane ko
dekha nahin rukh karte jis taraf zamaane ko
jee chahta hai akshar us samt hi jaane ko
ye shagl-e-zabaani bhi be-sarfa nahin aakhir
sau baat banata hoon ik baat banaane ko
is kunj-e-tabee'at ki mumkin hai hawa badle
jhonka koi aa jaaye patte hi udaane ko
raazi na hua main bhi maanoos manaazir par
taiyyaar na tha vo bhi kuchh aur dikhaane ko
jaisa ki samjhte ho waisa to nahin kuchh bhi
ye saara tamasha hai ik vaham mitaane ko
आया ही नहीं कोई बोझ अपना उठाने को
कब तक मैं छुपा रखता इस ख़्वाब-ख़ज़ाने को
देखा नहीं रुख़ करते जिस तर्फ़ ज़माने को
जी चाहता है अक्सर उस सम्त ही जाने को
ये शग़्ल-ए-ज़बानी भी बे-सर्फ़ा नहीं आख़िर
सौ बात बनाता हूँ इक बात बनाने को
इस कुंज-ए-तबीअत की मुमकिन है हवा बदले
झोंका कोई आ जाए पत्ते ही उड़ाने को
राज़ी न हुआ मैं भी मानूस मनाज़िर पर
तय्यार न था वो भी कुछ और दिखाने को
जैसा कि समझते हो वैसा तो नहीं कुछ भी
ये सारा तमाशा है इक वहम मिटाने को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz
our suggestion based on Ahmad Mahfuz
As you were reading Hawa Shayari Shayari