savaad-e-shaam na rang-e-sehar ko dekhte hain | सवाद-ए-शाम न रंग-ए-सहर को देखते हैं - Ahmad Mahfuz

savaad-e-shaam na rang-e-sehar ko dekhte hain
bas ik sitaara-e-vahshat-asr ko dekhte hain

kisi ke aane ki jis se khabar bhi aati nahin
na jaane kab se usi raahguzaar ko dekhte hain

khuda-gawah ki aaina-e-nafs hi mein hum
khud apni zindagi-e-mukhtasar ko dekhte hain

to kya bas ek thikaana wahi hai duniya mein
vo dar nahin to kisi aur dar ko dekhte hain

suna hai shehar ka naqsha badal gaya mahfooz
to chal ke hum bhi zara apne ghar ko dekhte hain

सवाद-ए-शाम न रंग-ए-सहर को देखते हैं
बस इक सितारा-ए-वहशत-असर को देखते हैं

किसी के आने की जिस से ख़बर भी आती नहीं
न जाने कब से उसी रहगुज़र को देखते हैं

ख़ुदा-गवाह कि आईना-ए-नफ़स ही में हम
ख़ुद अपनी ज़िंदगी-ए-मुख़्तसर को देखते हैं

तो क्या बस एक ठिकाना वही है दुनिया में
वो दर नहीं तो किसी और दर को देखते हैं

सुना है शहर का नक़्शा बदल गया 'महफ़ूज़'
तो चल के हम भी ज़रा अपने घर को देखते हैं

- Ahmad Mahfuz
0 Likes

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari