badan-saraab na dariya-e-jaan se milta hai | बदन-सराब न दरिया-ए-जाँ से मिलता है - Ahmad Mahfuz

badan-saraab na dariya-e-jaan se milta hai
to phir ye khwaab-kinaara kahaan se milta hai

ye dhoop chaanv salaamat rahe ki tera suraagh
humein to saaya-e-abr-e-ravaan se milta hai

hum ahl-e-dard jahaan bhi hain silsila sab ka
tumhaare shehar ke aashuftagan se milta hai

jahaan se kuch na mile to bhi faaede hain bahut
humein ye naqd usi aastaan se milta hai

fazaa hi saari hui surkh-roo to hairat kya
ki aaj rang-e-hawa gul-rukhan se milta hai

bichhad ke khaak hue hum to kya zara dekho
ghubaar ja ke usi kaarwaan se milta hai

बदन-सराब न दरिया-ए-जाँ से मिलता है
तो फिर ये ख़्वाब-किनारा कहाँ से मिलता है

ये धूप छाँव सलामत रहे कि तेरा सुराग़
हमें तो साया-ए-अब्र-ए-रवाँ से मिलता है

हम अहल-ए-दर्द जहाँ भी हैं सिलसिला सब का
तुम्हारे शहर के आशुफ़्तगाँ से मिलता है

जहाँ से कुछ न मिले तो भी फ़ाएदे हैं बहुत
हमें ये नक़्द उसी आस्ताँ से मिलता है

फ़ज़ा ही सारी हुई सुर्ख़-रू तो हैरत क्या
कि आज रंग-ए-हवा गुल-रुख़ाँ से मिलता है

बिछड़ के ख़ाक हुए हम तो क्या ज़रा देखो
ग़ुबार जा के उसी कारवाँ से मिलता है

- Ahmad Mahfuz
0 Likes

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari