apna socha hua agar ho jaaye | अपना सोचा हुआ अगर हो जाए - Ahmad Mahfuz

apna socha hua agar ho jaaye
ek aalam hamaare sar ho jaaye

shor dast-e-sukoot mein kam hai
ai hawa tu hi tez-tar ho jaaye

na karenge vo rukh idhar apna
chahe duniya idhar-udhar ho jaaye

dard awaaz rafta rafta bane
aah-e-shab naala-e-seher ho jaaye

kitni raahen khuli hain apne liye
dekhiye kab kidhar safar ho jaaye

is liye hoshiyaar rehta hoon
kya khabar kab vo be-khabar ho jaaye

अपना सोचा हुआ अगर हो जाए
एक आलम हमारे सर हो जाए

शोर दश्त-ए-सुकूत में कम है
ऐ हवा तू ही तेज़-तर हो जाए

न करेंगे वो रुख़ इधर अपना
चाहे दुनिया इधर-उधर हो जाए

दर्द आवाज़ रफ़्ता रफ़्ता बने
आह-ए-शब नाला-ए-सहर हो जाए

कितनी राहें खुली हैं अपने लिए
देखिए कब किधर सफ़र हो जाए

इस लिए होशियार रहता हूँ
क्या ख़बर कब वो बे-ख़बर हो जाए

- Ahmad Mahfuz
0 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Mahfuz

As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Mahfuz

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari