kisi se kya kahein sunen agar ghubaar ho gaye
humeen hawa ki zad mein the humeen shikaar ho gaye
siyaah dasht khaar se kahaan do-chaar ho gaye
ki shauq-e-pairhan tamaam taar taar ho gaye
yahan jo dil mein daagh tha wahi to ik charaagh tha
vo raat aisa gul hua ki sharmasaar ho gaye
aziz kyun na jaan se ho shikast-e-aaina hamein
wahan to ek aks tha yahan hazaar ho gaye
hamein to ek umr se padi hai apni jaan ki
abhi jo sahilon pe the kahaan se paar ho gaye
किसी से क्या कहें सुनें अगर ग़ुबार हो गए
हमीं हवा की ज़द में थे हमीं शिकार हो गए
सियाह दश्त ख़ार से कहाँ दो-चार हो गए
कि शौक़-ए-पैरहन तमाम तार तार हो गए
यहाँ जो दिल में दाग़ था वही तो इक चराग़ था
वो रात ऐसा गुल हुआ कि शर्मसार हो गए
अज़ीज़ क्यूँ न जाँ से हो शिकस्त-ए-आइना हमें
वहाँ तो एक अक्स था यहाँ हज़ार हो गए
हमें तो एक उम्र से पड़ी है अपनी जान की
अभी जो साहिलों पे थे कहाँ से पार हो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz
our suggestion based on Ahmad Mahfuz
As you were reading Environment Shayari Shayari