ab is makaan mein naya koi dar nahin karna
ye kaam sahal bahut hai magar nahin karna
zara hi der mein kya jaane kya ho raat ka rang
so ab qayaam sar-e-rahguzar nahin karna
bayaan to kar doon haqeeqat us ek raat ki sab
p shart ye hai kisi ko khabar nahin karna
rafugari ko ye mausam hai saazgaar bahut
hamein junoon ko abhi jaama-dar nahin karna
khabar hai garm kisi qafile ke lutne ki
ye waqia hai to sair o safar nahin karna
अब इस मकाँ में नया कोई दर नहीं करना
ये काम सहल बहुत है मगर नहीं करना
ज़रा ही देर में क्या जाने क्या हो रात का रंग
सो अब क़याम सर-ए-रहगुज़र नहीं करना
बयाँ तो कर दूँ हक़ीक़त उस एक रात की सब
प शर्त ये है किसी को ख़बर नहीं करना
रफ़ूगरी को ये मौसम है साज़गार बहुत
हमें जुनूँ को अभी जामा-दर नहीं करना
ख़बर है गर्म किसी क़ाफ़िले के लुटने की
ये वाक़िआ है तो सैर ओ सफ़र नहीं करना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Mahfuz
our suggestion based on Ahmad Mahfuz
As you were reading Andhera Shayari Shayari