falak pe chaand nahin koi abr-paaraa nahin | फ़लक पे चाँद नहीं कोई अब्र-पारा नहीं - Ahmad Zafar

falak pe chaand nahin koi abr-paaraa nahin
ye kaisi raat hai jis mein koi sitaara nahin

ye inkishaaf sitaaron se bhar gaya daaman
kisi ne itna kaha jab ki vo hamaara nahin

zameen bhanwar ho jahaan aasmaan samundar ho
wahan safar kisi saahil ka istiaara nahin

main mukhtalif hoon zamaane se is liye shaayad
kisi khayal ki gardish mujhe gawara nahin

khizaan ke mausam-e-khaamoshi ne sada di hai
jamaal-e-dost ne phir bhi mujhe pukaara nahin

jo reza reza nahin dil use nahin kahte
kahein na aaina us ko jo paara-paara nahin

main zakham zakham sahi phir bhi muskuraya hoon
zafar ba-naam-zafar haar ke bhi haara nahin

फ़लक पे चाँद नहीं कोई अब्र-पारा नहीं
ये कैसी रात है जिस में कोई सितारा नहीं

ये इंकिशाफ़ सितारों से भर गया दामन
किसी ने इतना कहा जब कि वो हमारा नहीं

ज़मीं भँवर हो जहाँ आसमाँ समुंदर हो
वहाँ सफ़र किसी साहिल का इस्तिआरा नहीं

मैं मुख़्तलिफ़ हूँ ज़माने से इस लिए शायद
किसी ख़याल की गर्दिश मुझे गवारा नहीं

ख़िज़ाँ के मौसम-ए-ख़ामोश ने सदा दी है
जमाल-ए-दोस्त ने फिर भी मुझे पुकारा नहीं

जो रेज़ा रेज़ा नहीं दिल उसे नहीं कहते
कहें न आईना उस को जो पारा-पारा नहीं

मैं ज़ख़्म ज़ख़्म सही फिर भी मुस्कुराया हूँ
'ज़फ़र' ब-नाम-ज़फ़र हार के भी हारा नहीं

- Ahmad Zafar
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Zafar

As you were reading Shayari by Ahmad Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Zafar

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari