jaltee bujhti si raahguzaar jaise | जलती बुझती सी रहगुज़र जैसे - Ahmad Ziya

jaltee bujhti si raahguzaar jaise
zindagi door ka safar jaise

is qadar pur-khuloos lahja hai
us se milna hai umr bhar jaise

is mohalle mein ik jawaan ladki
beech akhbaar mein khabar jaise

ek maanoos si sada goonji
door yaadon ka ik nagar jaise

जलती बुझती सी रहगुज़र जैसे
ज़िंदगी दूर का सफ़र जैसे

इस क़दर पुर-ख़ुलूस लहजा है
उस से मिलना है उम्र भर जैसे

इस मोहल्ले में इक जवाँ लड़की
बीच अख़बार में ख़बर जैसे

एक मानूस सी सदा गूँजी
दूर यादों का इक नगर जैसे

- Ahmad Ziya
0 Likes

Aurat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ziya

As you were reading Shayari by Ahmad Ziya

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ziya

Similar Moods

As you were reading Aurat Shayari Shayari