mila jo dhoop ka sehra badan shajar na bana | मिला जो धूप का सहरा बदन शजर न बना - Ahmad Ziya

mila jo dhoop ka sehra badan shajar na bana
main vo hoon khud jo kabhi apna hum-safar na bana

nagar nagar mein nayi bastiyaan basaai gaeein
hazaar chaaha magar phir bhi apna ghar na bana

ye baat baat hai dil ki to phir jhijak kaisi
ye naqsh naqsh-e-wafa hai tu soch kar na bana

chamakte din ke ujaalon se aashna ho kar
andheri raat mein saaye ko hum-safar na bana

मिला जो धूप का सहरा बदन शजर न बना
मैं वो हूँ ख़ुद जो कभी अपना हम-सफ़र न बना

नगर नगर में नई बस्तियाँ बसाई गईं
हज़ार चाहा मगर फिर भी अपना घर न बना

ये बात बात है दिल की तो फिर झिजक कैसी
ये नक़्श नक़्श-ए-वफ़ा है तू सोच कर न बना

चमकते दिन के उजालों से आश्ना हो कर
अँधेरी रात में साए को हम-सफ़र न बना

- Ahmad Ziya
0 Likes

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ziya

As you were reading Shayari by Ahmad Ziya

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ziya

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari