fikr ke saare dhaage toote zehan bhi ab m'azoor hua | फ़िक्र के सारे धागे टूटे ज़ेहन भी अब म'अज़ूर हुआ - Ahmad Ziya

fikr ke saare dhaage toote zehan bhi ab m'azoor hua
ab ke bahaar ye kaisi aayi kaisa ye dastoor hua

kal-purzon ka rooh-e-ravaan ye aur vo armaaye ki jonk
lekin us ki nazaron mein ye dharti ka naasoor hua

din ki safedi teri nazar mein raat ki kaali chadar hai
raat ka khooni andhiyaara bhi teri nazar mein noor hua

jab se dekha hai kheton mein main ne zalim dhoop ka roop
tab se teri zulf ka saaya door bahut hi door hua

zulm ko us ne zulm kaha hai jabr ko us ne jabr kaha
yaani ziya ab ziya nahin hai waqt ka vo mansoor hua

फ़िक्र के सारे धागे टूटे ज़ेहन भी अब म'अज़ूर हुआ
अब के बहार ये कैसी आई कैसा ये दस्तूर हुआ

कल-पुर्ज़ों का रूह-ए-रवाँ ये और वो सरमाए की जोंक
लेकिन उस की नज़रों में ये धरती का नासूर हुआ

दिन की सफ़ेदी तेरी नज़र में रात की काली चादर है
रात का ख़ूनी अँधियारा भी तेरी नज़र में नूर हुआ

जब से देखा है खेतों में मैं ने ज़ालिम धूप का रूप
तब से तेरी ज़ुल्फ़ का साया दूर बहुत ही दूर हुआ

ज़ुल्म को उस ने ज़ुल्म कहा है जब्र को उस ने जब्र कहा
यानी 'ज़िया' अब 'ज़िया' नहीं है वक़्त का वो मंसूर हुआ

- Ahmad Ziya
0 Likes

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ziya

As you were reading Shayari by Ahmad Ziya

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ziya

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari