har qadam par mere armaanon ka khun | हर क़दम पर मेरे अरमानों का ख़ूँ - Ahmad Ziya

har qadam par mere armaanon ka khun
zindagi tera kahaan tak saath doon

aandhiyon ki zad mein hai mera vujood
aur main deewaar ki tasveer hoon

kaun ho tum aur kahaan se aaye ho
sochta hoon apne saaye se kahoon

rang ki duniya se main ukta gaya
phool-rut mein zahar pee kar so rahoon

chahta hoon tum ko khushboo ki tarah
ab ki main awaaz hi awaaz hoon

ab koi mera nahin mere siva
aaj apne-aap dil ko tod luun

main ki paighambar nahin ahmad-ziya
kaun sa paighaam is duniya ko doon

हर क़दम पर मेरे अरमानों का ख़ूँ
ज़िंदगी तेरा कहाँ तक साथ दूँ

आँधियों की ज़द में है मेरा वजूद
और मैं दीवार की तस्वीर हूँ

कौन हो तुम और कहाँ से आए हो
सोचता हूँ अपने साए से कहूँ

रंग की दुनिया से मैं उकता गया
फूल-रुत में ज़हर पी कर सो रहूँ

चाहता हूँ तुम को ख़ुश्बू की तरह
अब कि मैं आवाज़ ही आवाज़ हूँ

अब कोई मेरा नहीं मेरे सिवा
आज अपने-आप दिल को तोड़ लूँ

मैं कि पैग़म्बर नहीं 'अहमद-ज़िया'
कौन सा पैग़ाम इस दुनिया को दूँ

- Ahmad Ziya
0 Likes

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ziya

As you were reading Shayari by Ahmad Ziya

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ziya

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari