vo khwaab sa paikar hai gul-e-tar ki tarah hai | वो ख़्वाब सा पैकर है गुल-ए-तर की तरह है - Ahmad Ziya

vo khwaab sa paikar hai gul-e-tar ki tarah hai
aankhon mein gai shaam ke manzar ki tarah hai

ehsaas dilaati hai ye phaili hui khushboo
us ghar ki mohabbat bhi mere ghar ki tarah hai

main aaina jaisa hoon koi tod na dale
har shakhs meri raah mein patthar ki tarah hai

ik main hoon ki lehron ki tarah chain nahin hai
ik vo hai ki khaamosh samundar ki tarah hai

vo jis ne ziya harf bhi dil mein na utaara
vo aaj sar-e-bazm suhan-var ki tarah hai

वो ख़्वाब सा पैकर है गुल-ए-तर की तरह है
आँखों में गई शाम के मंज़र की तरह है

एहसास दिलाती है ये फैली हुई ख़ुश्बू
उस घर की मोहब्बत भी मिरे घर की तरह है

मैं आईना जैसा हूँ कोई तोड़ न डाले
हर शख़्स मिरी राह में पत्थर की तरह है

इक मैं हूँ कि लहरों की तरह चैन नहीं है
इक वो है कि ख़ामोश समुंदर की तरह है

वो जिस ने 'ज़िया' हर्फ़ भी दिल में न उतारा
वो आज सर-ए-बज़्म सुख़न-वर की तरह है

- Ahmad Ziya
0 Likes

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Ziya

As you were reading Shayari by Ahmad Ziya

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Ziya

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari