zulmato_n mein go thehrne ko thehar jaate hain log
ahl-e-manzil ki nigaahon se utar jaate hain log
kal talak to husn ki maasoomiyat mashkook thi
ab khuloos-e-ishq par bhi chot kar jaate hain log
raah mein ab vo dar-e-jaanaan ho ya dair-o-haram
sar uthaaye be-niyaazaana guzar jaate hain log
zindagi ki be-sabaati ka koi rona nahin
haaye vo haalaat jab be-maut mar jaate hain log
shaikh-saahib ham siyah-bakhton ka peecha chhodije
shaam hoti hai to apne apne ghar jaate hain log
ज़ुल्मतों में गो ठहरने को ठहर जाते हैं लोग
अहल-ए-मंज़िल की निगाहों से उतर जाते हैं लोग
कल तलक तो हुस्न की मासूमियत मश्कूक थी
अब ख़ुलूस-ए-इश्क़ पर भी चोट कर जाते हैं लोग
राह में अब वो दर-ए-जानाँ हो या दैर-ओ-हरम
सर उठाए बे-नियाज़ाना गुज़र जाते हैं लोग
ज़िंदगी की बे-सबाती का कोई रोना नहीं
हाए वो हालात जब बे-मौत मर जाते हैं लोग
शैख़-साहिब हम सियह-बख़्तों का पीछा छोड़िए
शाम होती है तो अपने अपने घर जाते हैं लोग
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aish Barni
our suggestion based on Aish Barni
As you were reading Life Shayari Shayari