main hans raha tha garche mere dil mein dard tha | मैं हँस रहा था गरचे मिरे दिल में दर्द था

  - Aish Barni

main hans raha tha garche mere dil mein dard tha
ye raaz khul gaya to mera chehra zard tha

achha hua ki aap ne daaman jhatak diya
mera vujood aap ke daaman pe gard tha

khud apni zaat ke na kisi kaam aa sake
vo log jin ke dil mein zamaane ka dard tha

kitne urooj par thi meri shiddat-e-talab
tum mil gaye to shauq ka har jazba sard tha

tanhaaiyon mein jis ke bane raazdaar tum
goya vo main na tha koi aawaara-gard tha

मैं हँस रहा था गरचे मिरे दिल में दर्द था
ये राज़ खुल गया तो मिरा चेहरा ज़र्द था

अच्छा हुआ कि आप ने दामन झटक दिया
मेरा वजूद आप के दामन पे गर्द था

ख़ुद अपनी ज़ात के न किसी काम आ सके
वो लोग जिन के दिल में ज़माने का दर्द था

कितने उरूज पर थी मिरी शिद्दत-ए-तलब
तुम मिल गए तो शौक़ का हर जज़्बा सर्द था

तन्हाइयों में जिस के बने राज़दार तुम
गोया वो मैं न था कोई आवारा-गर्द था

  - Aish Barni

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aish Barni

As you were reading Shayari by Aish Barni

Similar Writers

our suggestion based on Aish Barni

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari