har ik shay par bahaar-e-zindagi mehsoos karta hoon
magar baa-ein-hama teri kami mehsoos karta hoon
bhatk kar bhi kabhi manzil se begaana nahin hota
kisi ki ghaaibaana rahbari mehsoos karta hoon
main apne dil pe rakh leta hoon tohmat bad-gumaani ki
agar teri taraf se be-rukhi mehsoos karta hoon
ye duniya ajnabi pehle bhi thi aur ab bhi hai lekin
ab apne aap ko bhi ajnabi mehsoos karta hoon
tumhein is baat ka andaaza shaayad ho nahin saka
ki tum ko dekh ki kitni khushi mehsoos karta hoon
हर इक शय पर बहार-ए-ज़िंदगी महसूस करता हूँ
मगर बा-ईं-हमा तेरी कमी महसूस करता हूँ
भटक कर भी कभी मंज़िल से बेगाना नहीं होता
किसी की ग़ाएबाना रहबरी महसूस करता हूँ
मैं अपने दिल पे रख लेता हूँ तोहमत बद-गुमानी की
अगर तेरी तरफ़ से बे-रुख़ी महसूस करता हूँ
ये दुनिया अजनबी पहले भी थी और अब भी है लेकिन
अब अपने आप को भी अजनबी महसूस करता हूँ
तुम्हें इस बात का अंदाज़ा शायद हो नहीं सकता
कि तुम को देख कि कितनी ख़ुशी महसूस करता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aish Barni
our suggestion based on Aish Barni
As you were reading Justaju Shayari Shayari