raat jab toot kar bikhar jaaye
jaagne waala phir kidhar jaaye
umr guzri hai jaise kaanon se
sarsarati hawa guzar jaaye
apni yaadein bhi saath le ja tu
ye tira qarz bhi utar jaaye
tez chalne mein gir na jaaye kahi
waqt se bol do thehar jaaye
ab to tu bhi nahin hai dhadkan mein
dil ka kya kaam ab vo mar jaaye
रात जब टूट कर बिखर जाए
जागने वाला फिर किधर जाए
उम्र गुज़री है जैसे कानों से
सरसराती हवा गुज़र जाए
अपनी यादें भी साथ ले जा तू
ये तिरा क़र्ज़ भी उतर जाए
तेज़ चलने में गिर न जाए कहीं
वक़्त से बोल दो ठहर जाए
अब तो तू भी नहीं है धड़कन में
दिल का क्या काम अब वो मर जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajay Sahaab
our suggestion based on Ajay Sahaab
As you were reading Rahbar Shayari Shayari