ik yaad so rahe ko uthaati hai aaj bhi
khud jaagti hai mujh ko jagati hai aaj bhi
ye kaisi mutriba hai jo chhup kar jahaan se
dheeme suron mein raat ko gaati hai aaj bhi
sadiyaan guzar gaeein jise doobe hue yahan
us ko sada-e-shauq bulaati hai aaj bhi
jis shehr-e-aarzoo ke nishaanaat mit gaye
dil ki nigaah phir wahin jaati hai aaj bhi
honton pe baar baar zabaan pherta tha jo
us qafile ki pyaas rulaati hai aaj bhi
parbat ki chotiyon pe vo roti hui ghatta
kis haadse pe neer bahaati hai aaj bhi
bas ek hi bala hai mohabbat kahein jise
vo paaniyon mein aag lagati hai aaj bhi
har roz aa ke khwaab mein paazeb ki sada
dhadkan hamaare dil ki badhaati hai aaj bhi
hasrat koi to kho gaya umr-e-azeez ka
jo nange paanv daudti jaati hai aaj bhi
इक याद सो रहे को उठाती है आज भी
ख़ुद जागती है मुझ को जगाती है आज भी
ये कैसी मुतरिबा है जो छुप कर जहान से
धीमे सुरों में रात को गाती है आज भी
सदियाँ गुज़र गईं जिसे डूबे हुए यहाँ
उस को सदा-ए-शौक़ बुलाती है आज भी
जिस शहर-ए-आरज़ू के निशानात मिट गए
दिल की निगाह फिर वहीं जाती है आज भी
होंटों पे बार बार ज़बाँ फेरता था जो
उस क़ाफ़िले की प्यास रुलाती है आज भी
पर्बत की चोटियों पे वो रोती हुई घटा
किस हादसे पे नीर बहाती है आज भी
बस एक ही बला है मोहब्बत कहें जिसे
वो पानियों में आग लगाती है आज भी
हर रोज़ आ के ख़्वाब में पाज़ेब की सदा
धड़कन हमारे दिल की बढ़ाती है आज भी
'हसरत' कोई तो खो गया उम्र-ए-अज़ीज़ का
जो नंगे पाँव दौड़ती जाती है आज भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ajeet Singh Hasrat
our suggestion based on Ajeet Singh Hasrat
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari