shaam apni be-maza jaati hai roz | शाम अपनी बे-मज़ा जाती है रोज़

  - Ajmal Siraj

shaam apni be-maza jaati hai roz
aur sitam ye hai ki aa jaati hai roz

koi din aasaan nahin jaata mera
koi mushkil aazma jaati hai roz

mujh se pooche koi kya hai zindagi
mere sar se ye bala jaati hai roz

jaane kis ki surkh-rooi ke liye
khun mein ye dharti naha jaati hai roz

geet gaate hain parinde subh o shaam
ya sama'at chahchaha jaati hai roz

dekhne waalon ko ajmal zindagi
rang kitne hi dikha jaati hai roz

शाम अपनी बे-मज़ा जाती है रोज़
और सितम ये है कि आ जाती है रोज़

कोई दिन आसाँ नहीं जाता मिरा
कोई मुश्किल आज़मा जाती है रोज़

मुझ से पूछे कोई क्या है ज़िंदगी
मेरे सर से ये बला जाती है रोज़

जाने किस की सुर्ख़-रूई के लिए
ख़ूँ में ये धरती नहा जाती है रोज़

गीत गाते हैं परिंदे सुब्ह ओ शाम
या समाअ'त चहचहा जाती है रोज़

देखने वालों को 'अजमल' ज़िंदगी
रंग कितने ही दिखा जाती है रोज़

  - Ajmal Siraj

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ajmal Siraj

As you were reading Shayari by Ajmal Siraj

Similar Writers

our suggestion based on Ajmal Siraj

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari