jazba-e-dil ne mere taaseer dikhlai to hai | जज़्बा-ए-दिल ने मिरे तासीर दिखलाई तो है

  - Akbar Allahabadi

jazba-e-dil ne mere taaseer dikhlai to hai
ghunghroon ki jaanib-e-dar kuchh sada aayi to hai

ishq ke izhaar mein har-chand ruswaai to hai
par karoon kya ab tabeeyat aap par aayi to hai

aap ke sar ki qasam mere siva koi nahin
be-takalluf aaiye kamre mein tanhaai to hai

jab kaha main ne tadpata hai bahut ab dil mera
hans ke farmaaya tadpata hoga saudaai to hai

dekhiye hoti hai kab raahi soo-e-mulk-e-adam
khaana-e-tan se hamaari rooh ghabraai to hai

dil dhadakta hai mera luun bosa-e-rukh ya na luun
neend mein us ne dulaai munh se sarkaai to hai

dekhiye lab tak nahin aati gul-e-aariz ki yaad
sair-e-gulshan se tabi'at ham ne behlaai to hai

main bala mein kyun fansoon deewaana ban kar us ke saath
dil ko vehshat ho to ho kambakht saudaai to hai

khaak mein dil ko milaaya jalwa-e-raftaar se
kyun na ho ai naujavaan ik shaan-e-raanaai to hai

yun muravvat se tumhaare saamne chup ho rahein
kal ke jalsoon ki magar ham ne khabar paai to hai

baada-e-gul-rang ka saaghar inaayat kar mujhe
saaqiya taakheer kya hai ab ghatta chhaai to hai

jis ki ulfat par bada daava tha kal akbar tumhein
aaj ham ja kar use dekh aaye harjaai to hai

जज़्बा-ए-दिल ने मिरे तासीर दिखलाई तो है
घुंघरूओं की जानिब-ए-दर कुछ सदा आई तो है

इश्क़ के इज़हार में हर-चंद रुस्वाई तो है
पर करूँ क्या अब तबीअत आप पर आई तो है

आप के सर की क़सम मेरे सिवा कोई नहीं
बे-तकल्लुफ़ आइए कमरे में तन्हाई तो है

जब कहा मैं ने तड़पता है बहुत अब दिल मिरा
हंस के फ़रमाया तड़पता होगा सौदाई तो है

देखिए होती है कब राही सू-ए-मुल्क-ए-अदम
ख़ाना-ए-तन से हमारी रूह घबराई तो है

दिल धड़कता है मिरा लूँ बोसा-ए-रुख़ या न लूँ
नींद में उस ने दुलाई मुँह से सरकाई तो है

देखिए लब तक नहीं आती गुल-ए-आरिज़ की याद
सैर-ए-गुलशन से तबीअ'त हम ने बहलाई तो है

मैं बला में क्यूँ फँसूँ दीवाना बन कर उस के साथ
दिल को वहशत हो तो हो कम्बख़्त सौदाई तो है

ख़ाक में दिल को मिलाया जल्वा-ए-रफ़्तार से
क्यूँ न हो ऐ नौजवाँ इक शान-ए-रानाई तो है

यूँ मुरव्वत से तुम्हारे सामने चुप हो रहें
कल के जलसों की मगर हम ने ख़बर पाई तो है

बादा-ए-गुल-रंग का साग़र इनायत कर मुझे
साक़िया ताख़ीर क्या है अब घटा छाई तो है

जिस की उल्फ़त पर बड़ा दावा था कल 'अकबर' तुम्हें
आज हम जा कर उसे देख आए हरजाई तो है

  - Akbar Allahabadi

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Allahabadi

As you were reading Shayari by Akbar Allahabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Allahabadi

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari