pas-e-faseel zamaanon ka intizaar na ho | पस-ए-फ़सील ज़मानों का इंतिज़ार न हो - Akbar Masoom

pas-e-faseel zamaanon ka intizaar na ho
ye shehar aur kisi shehar ka ghubaar na ho

ye khwaab bhi na kisi khwaab ka ishaara ho
ye neend aur kisi neend ka khumaar na ho

ye dasht aur kisi dasht ka saraab sahi
ye baagh aur kisi baagh ki bahaar na ho

bahut dinon se yahi soch kar pareshaan hoon
ki tu bhi mere gumaan hi ka e'tibaar na ho

koi to vasl ki sa'at ho jo thehar jaaye
koi to saans luun aisi ki jo shumaar na ho

पस-ए-फ़सील ज़मानों का इंतिज़ार न हो
ये शहर और किसी शहर का ग़ुबार न हो

ये ख़्वाब भी न किसी ख़्वाब का इशारा हो
ये नींद और किसी नींद का ख़ुमार न हो

ये दश्त और किसी दश्त का सराब सही
ये बाग़ और किसी बाग़ की बहार न हो

बहुत दिनों से यही सोच कर परेशाँ हूँ
कि तू भी मेरे गुमाँ ही का ए'तिबार न हो

कोई तो वस्ल की साअ'त हो जो ठहर जाए
कोई तो साँस लूँ ऐसी कि जो शुमार न हो

- Akbar Masoom
0 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akbar Masoom

As you were reading Shayari by Akbar Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Akbar Masoom

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari