khushi ke mauqe par un ki kami achhi nahin lagti
azeezon ke bina koi khushi achhi nahin lagti
adavat dushmani nafrat hasad insaan ki fitrat hai
magar shiddat kisi bhi baat ki achhi nahin lagti
kisi ke vaaste jab bad-gumaani dil mein aa jaaye
to achhi baat bhi us ki kabhi achhi nahin lagti
saleemuttaba fitrat di hai qudrat ne jinhen un ko
kisi bebas ki aankhon mein nami achhi nahin lagti
ye kaisa daur-e-be-kaafi hai shaarid zindagaani ka
ki tyaoharon pe bhi ab raushni achhi nahin lagti
ख़ुशी के मौक़े पर उन की कमी अच्छी नहीं लगती
अज़ीज़ों के बिना कोई ख़ुशी अच्छी नहीं लगती
अदावत दुश्मनी नफ़रत हसद इंसाँ की फ़ितरत है
मगर शिद्दत किसी भी बात की अच्छी नहीं लगती
किसी के वास्ते जब बद-गुमानी दिल में आ जाए
तो अच्छी बात भी उस की कभी अच्छी नहीं लगती
सलीमुत्तबअ' फ़ितरत दी है क़ुदरत ने जिन्हें उन को
किसी बेबस की आँखों में नमी अच्छी नहीं लगती
ये कैसा दौर-ए-बे-ए-कैफ़ी है 'शारिद' ज़िंदगानी का
कि त्यौहारों पे भी अब रौशनी अच्छी नहीं लगती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akbar Sharid
our suggestion based on Akbar Sharid
As you were reading Khushi Shayari Shayari