ubhar rahi hai kiran subh-e-zoo-fishaan ke liye
sanwar rahi hai fazaa husn-e-gulistaan ke liye
meri fasurda ummeedon ko kar diya khandaan
ye iltifaat-e-nazar ik shikasta jaan ke liye
khuda ke dar pe to sajda-kunaan hai ik duniya
meri jabeen hai faqat tere aastaan ke liye
tire huzoor mein aaya to kho gaya aisa
zabaan khul na saki arz-e-daastaan ke liye
unhen shikast-e-mohabbat ka khauf kya akhgar
kafan-badosh jo nikle hain imtihaan ke liye
उभर रही है किरन सुब्ह-ए-ज़ू-फ़िशाँ के लिए
सँवर रही है फ़ज़ा हुस्न-ए-गुलिस्ताँ के लिए
मिरी फ़सुर्दा उम्मीदों को कर दिया ख़ंदाँ
ये इल्तिफ़ात-ए-नज़र इक शिकस्ता जाँ के लिए
ख़ुदा के दर पे तो सज्दा-कुनाँ है इक दुनिया
मिरी जबीं है फ़क़त तेरे आस्ताँ के लिए
तिरे हुज़ूर में आया तो खो गया ऐसा
ज़बान खुल न सकी अर्ज़-ए-दास्ताँ के लिए
उन्हें शिकस्त-ए-मोहब्बत का ख़ौफ़ क्या 'अख़्गर'
कफ़न-बदोश जो निकले हैं इम्तिहाँ के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhgar Panipati
our suggestion based on Akhgar Panipati
As you were reading Terrorism Shayari Shayari