fareb-e-jalwa kahaan tak b-roo-e-kaar rahe | फ़रेब-ए-जल्वा कहाँ तक ब-रू-ए-कार रहे - Akhtar Ali Akhtar

fareb-e-jalwa kahaan tak b-roo-e-kaar rahe
naqaab uthao ki kuch din zara bahaar rahe

kharaab-e-shauq rahe waqf-e-intizaar rahe
ab aur kya tire vaadon ka e'tibaar rahe

main raaz-e-ishq ko rusva karoon maaz-allah
ye baat aur hai dil par na ikhtiyaar rahe

chaman mein rakh to raha hoon bina nasheeman ki
khuda kare ki zamaana bhi saazgaar rahe

junoon ka rukh hai hareem-e-hayaat ki jaanib
ilaahi parda-e-awhaam-e-etibaar rahe

फ़रेब-ए-जल्वा कहाँ तक ब-रू-ए-कार रहे
नक़ाब उठाओ कि कुछ दिन ज़रा बहार रहे

ख़राब-ए-शौक़ रहे वक़्फ़-ए-इंतिज़ार रहे
अब और क्या तिरे वादों का ए'तिबार रहे

मैं राज़-ए-इश्क़ को रुस्वा करूँ मआज़-अल्लाह
ये बात और है दिल पर न इख़्तियार रहे

चमन में रख तो रहा हूँ बिना नशेमन की
ख़ुदा करे कि ज़माना भी साज़गार रहे

जुनूँ का रुख़ है हरीम-ए-हयात की जानिब
इलाही पर्दा-ए-औहाम-ए-ए'तिबार रहे

- Akhtar Ali Akhtar
0 Likes

Bekhudi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ali Akhtar

As you were reading Shayari by Akhtar Ali Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ali Akhtar

Similar Moods

As you were reading Bekhudi Shayari Shayari