tum ne deewaana kiya achha hua | तुम ने दीवाना किया अच्छा हुआ - Akhtar Ali Akhtar

tum ne deewaana kiya achha hua
har jagah mera junoon rusva hua

ab to deewaanon ke dil ki ho gai
mausam-e-gul mein chaman sehra hua

jo bhi aaya husn-e-pinhaan dekh kar
koi andha to koi bahra hua

dekh lo is mein meri tasveer hai
ashk-e-gham palkon pe hai thehra hua

fath kaise paayenge kuffaar par
qaum ka sheeraza hai bikhra hua

tha jo akhtar zahar sa teer-e-nazar
din-b-din zakham-e-jigar gahra hua

तुम ने दीवाना किया अच्छा हुआ
हर जगह मेरा जुनूँ रुस्वा हुआ

अब तो दीवानों के दिल की हो गई
मौसम-ए-गुल में चमन सहरा हुआ

जो भी आया हुस्न-ए-पिन्हाँ देख कर
कोई अंधा तो कोई बहरा हुआ

देख लो इस में मिरी तस्वीर है
अश्क-ए-ग़म पलकों पे है ठहरा हुआ

फ़त्ह कैसे पाएँगे कुफ़्फ़ार पर
क़ौम का शीराज़ा है बिखरा हुआ

था जो 'अख़्तर' ज़हर सा तीर-ए-नज़र
दिन-ब-दिन ज़ख़्म-ए-जिगर गहरा हुआ

- Akhtar Ali Akhtar
0 Likes

Manzil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ali Akhtar

As you were reading Shayari by Akhtar Ali Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ali Akhtar

Similar Moods

As you were reading Manzil Shayari Shayari