ujaalon ki numaish ho rahi hai | उजालों की नुमाइश हो रही है - Akhtar Ali Akhtar

ujaalon ki numaish ho rahi hai
andheron se bhi saazish ho rahi hai

koi munsif nahin shaayad mayassar
sitamgar se jo naalish ho rahi hai

vo maane ya na maane us ki marzi
manaane ki to kaavish ho rahi hai

sitamgar se koi pooche to itna
ye mujh par kyun nawaazish ho rahi hai

adab ki rok kar ta'aamir khud hi
tarqqi ki guzarish ho rahi hai

hain charche ilm ke har ik zabaan par
magar kamzor daanish ho rahi hai

nahin ikhlaas-e-niyyat aur akhtar
ibadat ki numaish ho rahi hai

उजालों की नुमाइश हो रही है
अँधेरों से भी साज़िश हो रही है

कोई मुंसिफ़ नहीं शायद मयस्सर
सितमगर से जो नालिश हो रही है

वो माने या न माने उस की मर्ज़ी
मनाने की तो काविश हो रही है

सितमगर से कोई पूछे तो इतना
ये मुझ पर क्यों नवाज़िश हो रही है

अदब की रोक कर ता'मीर ख़ुद ही
तरक़्क़ी की गुज़ारिश हो रही है

हैं चर्चे इल्म के हर इक ज़बाँ पर
मगर कमज़ोर दानिश हो रही है

नहीं इख़्लास-ए-निय्यत और 'अख़्तर'
इबादत की नुमाइश हो रही है

- Akhtar Ali Akhtar
0 Likes

Dua Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ali Akhtar

As you were reading Shayari by Akhtar Ali Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ali Akhtar

Similar Moods

As you were reading Dua Shayari Shayari