zindagi kya hai jo dil ho tashna-e-zauq-e-wafa | ज़िंदगी क्या है जो दिल हो तश्ना-ए-ज़ौक़-ए-वफ़ा - Akhtar Ali Akhtar

zindagi kya hai jo dil ho tashna-e-zauq-e-wafa
ya'ni ye parda to uth saka hai aasaani ke saath

guftugoo-e-soorat-o-maani hai unwan-e-hayaat
khelte hain vo meri fitrat ki hairaani ke saath

tum ne har zarre mein barpa kar diya toofan-e-shauq
ik tabassum is qadar jalvo ki tughyaani ke saath

dil ki aabaadi hai akhtar dil ki barbaadi ka naam
ik ta'alluq hai meri hasti ko veeraani ke saath

ज़िंदगी क्या है जो दिल हो तश्ना-ए-ज़ौक़-ए-वफ़ा
या'नी ये पर्दा तो उठ सकता है आसानी के साथ

गुफ़्तुगू-ए-सूरत-ओ-मानी है उनवान-ए-हयात
खेलते हैं वो मिरी फ़ितरत की हैरानी के साथ

तुम ने हर ज़र्रे में बरपा कर दिया तूफ़ान-ए-शौक़
इक तबस्सुम इस क़दर जल्वों की तुग़्यानी के साथ

दिल की आबादी है 'अख़्तर' दिल की बर्बादी का नाम
इक तअ'ल्लुक़ है मिरी हस्ती को वीरानी के साथ

- Akhtar Ali Akhtar
0 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ali Akhtar

As you were reading Shayari by Akhtar Ali Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ali Akhtar

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari