dil-o-jaan hum nisaar karte hain | दिल-ओ-जाँ हम निसार करते हैं - Akhtar Ali Akhtar

dil-o-jaan hum nisaar karte hain
vo nigaahon se vaar karte hain

haal-e-dil jab unhen sunaata hoon
aankh vo ashk-baar karte hain

hum ne un se kabhi gila na kiya
vo to shikwe hazaar karte hain

aa bhi jaao ki taab-e-zabt nahin
har ghadi intizaar karte hain

aankh un se ladi hai jab akhtar
gul-o-bulbul sa pyaar karte hain

दिल-ओ-जाँ हम निसार करते हैं
वो निगाहों से वार करते हैं

हाल-ए-दिल जब उन्हें सुनाता हूँ
आँख वो अश्क-बार करते हैं

हम ने उन से कभी गिला न किया
वो तो शिकवे हज़ार करते हैं

आ भी जाओ कि ताब-ए-ज़ब्त नहीं
हर घड़ी इंतिज़ार करते हैं

आँख उन से लड़ी है जब 'अख़्तर'
गुल-ओ-बुलबुल सा प्यार करते हैं

- Akhtar Ali Akhtar
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ali Akhtar

As you were reading Shayari by Akhtar Ali Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ali Akhtar

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari