khwaab-e-aasoodagi sunhara hai | ख़्वाब-ए-आसूदगी सुनहरा है - Akhtar Ali Akhtar

khwaab-e-aasoodagi sunhara hai
zindagi par to sakht pahra hai

dhoop nafrat ki badh gai logo
ab mohabbat pe chaaya gahra hai

haq paraston ka naam aa tangi
saare aalam mein jin ka shohra hai

ho dikhaava ya ho amal achha
faisla niyatton pe thehra hai

door kitne bhi tum raho akhtar
rishta dil se to dil ka gahra hai

ख़्वाब-ए-आसूदगी सुनहरा है
ज़िंदगी पर तो सख़्त पहरा है

धूप नफ़रत की बढ़ गई लोगो
अब मोहब्बत पे छाया गहरा है

हक़ परस्तों का नाम आ तंगी
सारे आलम में जिन का शोहरा है

हो दिखावा या हो अमल अच्छा
फ़ैसला नियतों पे ठहरा है

दूर कितने भी तुम रहो 'अख़्तर'
रिश्ता दिल से तो दिल का गहरा है

- Akhtar Ali Akhtar
0 Likes

Dhoop Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ali Akhtar

As you were reading Shayari by Akhtar Ali Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ali Akhtar

Similar Moods

As you were reading Dhoop Shayari Shayari