hareem-e-kaaba bana di vo sar-zameen main ne | हरीम-ए-काबा बना दी वो सर-ज़मीं मैं ने - Akhtar Ali Akhtar

hareem-e-kaaba bana di vo sar-zameen main ne
tire khayal mein rakh di jahaan jabeen main ne

mujhi ko parda-e-hasti mein de raha hai fareb
vo husn jis ko kiya jalwa-aafreen main ne

chatk mein gunche ki vo saut-e-jaan-faza to nahin
sooni hai pehle bhi awaaz ye kahi main ne

raheen-e-manzil-e-vahm-o-gumaan raha akhtar
isee mein dhoondh liya jaada-e-yaqeen main ne

हरीम-ए-काबा बना दी वो सर-ज़मीं मैं ने
तिरे ख़याल में रख दी जहाँ जबीं मैं ने

मुझी को पर्दा-ए-हस्ती में दे रहा है फ़रेब
वो हुस्न जिस को किया जल्वा-आफ़रीं मैं ने

चटक में ग़ुंचे की वो सौत-ए-जाँ-फ़ज़ा तो नहीं
सुनी है पहले भी आवाज़ ये कहीं मैं ने

रहीन-ए-मंज़िल-ए-वहम-ओ-गुमाँ रहा 'अख़्तर'
इसी में ढूँढ लिया जादा-ए-यक़ीं मैं ने

- Akhtar Ali Akhtar
0 Likes

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ali Akhtar

As you were reading Shayari by Akhtar Ali Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ali Akhtar

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari