sahaara de nahin sakte shikasta paanv ko | सहारा दे नहीं सकते शिकस्ता पाँव को - Akhtar Ansari Akbarabadi

sahaara de nahin sakte shikasta paanv ko
hatao raah-e-mohabbat se rahnumaaon ko

bana raha hoon haseen aur mah-laqaon ko
saja raha hoon main aafaq ki fazaaon ko

nazar nazar se milaata hoon muskurata hoon
junoon ki shaan dikhaata hoon dil-rubaaon ko

qadam qadam pe naye inqilaab raksaan hain
duaaein dete hain hum aap ki adaaon ko

mila jo daaman-e-saahil to aisi mauj aayi
safeene saunp diye hum ne na-khudaon ko

nigaah ferne waalon se poochta hoon main
tum aazmaaoge kab tak meri wafaon ko

abhi to dasht-o-daman mein bahaar aayi hai
abhi chaman mein khilaane hain gul hawaon ko

chale hain jaanib-e-daar-o-rasan kharaabaati
gunah ka rang dikhaana hai paarsaaon ko

har ek lamha-e-nau ka ab ehtiraam karo
naya payaam do akhtar nayi fazaaon ko

सहारा दे नहीं सकते शिकस्ता पाँव को
हटाओ राह-ए-मोहब्बत से रहनुमाओं को

बना रहा हूँ हसीं और मह-लक़ाओं को
सजा रहा हूँ मैं आफ़ाक़ की फ़ज़ाओं को

नज़र नज़र से मिलाता हूँ मुस्कुराता हूँ
जुनूँ की शान दिखाता हूँ दिल-रुबाओं को

क़दम क़दम पे नए इंक़लाब रक़्साँ हैं
दुआएँ देते हैं हम आप की अदाओं को

मिला जो दामन-ए-साहिल तो ऐसी मौज आई
सफ़ीने सौंप दिए हम ने ना-ख़ुदाओं को

निगाह फेरने वालों से पूछता हूँ मैं
तुम आज़माओगे कब तक मिरी वफ़ाओं को

अभी तो दश्त-ओ-दमन में बहार आई है
अभी चमन में खिलाने हैं गुल हवाओं को

चले हैं जानिब-ए-दार-ओ-रसन ख़राबाती
गुनह का रंग दिखाना है पारसाओं को

हर एक लम्हा-ए-नौ का अब एहतिराम करो
नया पयाम दो 'अख़्तर' नई फ़ज़ाओं को

- Akhtar Ansari Akbarabadi
0 Likes

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Ansari Akbarabadi

As you were reading Shayari by Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Ansari Akbarabadi

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari