tapish gulzaar tak pahunchee lahu deewaar tak aaya | तपिश गुलज़ार तक पहुँची लहू दीवार तक आया - Akhtar Husain Jafri

tapish gulzaar tak pahunchee lahu deewaar tak aaya
charaagh-e-khud-kalaami ka dhuaan bazaar tak aaya

hua kaaghaz musawwar ek paighaam-e-zabaani se
sukhun tasveer tak pahuncha hunar purkaar tak aaya

abas tareek raaste ko tah-e-khursheed-e-jaan rakha
yahi taar-e-nafs aazaar se paikaar tak aaya

mohabbat ka bhanwar apna shikaayat ki jihat apni
vo mehwar doosra tha jo mere pindaar tak aaya

ajab chehra safar ka tha havas ke zard paani mein
qadam daldal se nikla to khat-e-raftaar tak aaya

phir is ke baad tambuur o alam naa-mo'tabar thehre
koi qaasid na is shaam-e-shikast-aasaar tak aaya

तपिश गुलज़ार तक पहुँची लहू दीवार तक आया
चराग़-ए-ख़ुद-कलामी का धुआँ बाज़ार तक आया

हुआ काग़ज़ मुसव्वर एक पैग़ाम-ए-ज़बानी से
सुख़न तस्वीर तक पहुँचा हुनर पुरकार तक आया

अबस तारीक रस्ते को तह-ए-ख़ुर्शीद-ए-जाँ रक्खा
यही तार-ए-नफ़स आज़ार से पैकार तक आया

मोहब्बत का भँवर अपना शिकायत की जिहत अपनी
वो मेहवर दूसरा था जो मिरे पिंदार तक आया

अजब चेहरा सफ़र का था हवस के ज़र्द पानी में
क़दम दलदल से निकला तो ख़त-ए-रफ़्तार तक आया

फिर इस के बाद तम्बूर ओ अलम ना-मो'तबर ठहरे
कोई क़ासिद न इस शाम-ए-शिकस्त-आसार तक आया

- Akhtar Husain Jafri
1 Like

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Husain Jafri

As you were reading Shayari by Akhtar Husain Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Husain Jafri

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari