sab khayal us ke liye hain sab sawaal us ke liye | सब ख़याल उस के लिए हैं सब सवाल उस के लिए

  - Akhtar Husain Jafri

sab khayal us ke liye hain sab sawaal us ke liye
rakh diya ham ne hisaab-e-maah-o-saal us ke liye

us ki khushboo ke ta'aqub mein nikla aaya chaman
jhuk gai soo-e-zameen lamhe ki daal us ke liye

sarv ta khaak-e-giyah apni wafa ka silsila
sar-kasheeda us ki khaatir paayemaal us ke liye

kya makaan-khurda khalaaiq mein chale us ka khayal
tang-ha-e-shehr kuchh rasta nikaal us ke liye

shaakh-e-tanhaai se phir nikli bahaar-e-fasl-e-zaat
apni soorat par hue ham phir bahaal us ke liye

vasl ke badle mein kya daagh-e-sitaara maangna
is shab-e-be-khaanmaan se kar sawaal us ke liye

सब ख़याल उस के लिए हैं सब सवाल उस के लिए
रख दिया हम ने हिसाब-ए-माह-ओ-साल उस के लिए

उस की ख़ुश्बू के तआक़ुब में निकला आया चमन
झुक गई सू-ए-ज़मीं लम्हे की डाल उस के लिए

सर्व ता ख़ाक-ए-गियह अपनी वफ़ा का सिलसिला
सर-कशीदा उस की ख़ातिर पाएमाल उस के लिए

क्या मकाँ-ख़ुर्दा ख़लाइक़ में चले उस का ख़याल
तंग-हा-ए-शहर कुछ रस्ता निकाल उस के लिए

शाख़-ए-तन्हाई से फिर निकली बहार-ए-फ़स्ल-ए-ज़ात
अपनी सूरत पर हुए हम फिर बहाल उस के लिए

वस्ल के बदले में क्या दाग़-ए-सितारा माँगना
इस शब-ए-बे-ख़ानमाँ से कर सवाल उस के लिए

  - Akhtar Husain Jafri

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Husain Jafri

As you were reading Shayari by Akhtar Husain Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Husain Jafri

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari