hijr ik husn hai is husn mein rahna achha
chashm-e-be-khwaab ko khun-naab ka gehna achha
koi tashbeeh ka khurshid na talmeeh ka chaand
sar-e-qirtaas laga harf-e-barhana achha
paar utarne mein bhi ik soorat-e-gharkaabi hai
kashti-e-khwaab rah-mauj pe bahna achha
yun nasheeman nahin har roz uthaaye jaate
usi gulshan mein usi daal pe rahna achha
be-dili shart-e-wafa thehri hai meaar to dekh
main bura aur mera ranj na sahna achha
dhoop us husn ki yak-lahza mayassar to hui
phir na ta-umr laga saaye mein rahna achha
dil jahaan baat kare dil hi jahaan baat sune
kaar-e-dushwaar hai us tarz mein kehna achha
हिज्र इक हुस्न है इस हुस्न में रहना अच्छा
चश्म-ए-बे-ख़्वाब को ख़ूँ-नाब का गहना अच्छा
कोई तश्बीह का ख़ुर्शीद न तलमीह का चाँद
सर-ए-क़िर्तास लगा हर्फ़-ए-बरहना अच्छा
पार उतरने में भी इक सूरत-ए-ग़र्क़ाबी है
कश्ती-ए-ख़्वाब रह-मौज पे बहना अच्छा
यूँ नशेमन नहीं हर रोज़ उठाए जाते
उसी गुलशन में उसी डाल पे रहना अच्छा
बे-दिली शर्त-ए-वफ़ा ठहरी है मेआर तो देख
मैं बुरा और मिरा रंज न सहना अच्छा
धूप उस हुस्न की यक-लहज़ा मयस्सर तो हुई
फिर न ता-उम्र लगा साए में रहना अच्छा
दिल जहाँ बात करे दिल ही जहाँ बात सुने
कार-ए-दुश्वार है उस तर्ज़ में कहना अच्छा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Akhtar Husain Jafri
our suggestion based on Akhtar Husain Jafri
As you were reading Husn Shayari Shayari