"aansoo" | "आँसू"

  - Akhtar Shirani

"aansoo"

mere pahluu mein jo bah nikle tumhaare aansoo
ban gaye shaam-e-mohabbat ke sitaare aansoo
dekh saka hai bhala kaun ye paare aansoo
meri aankhon mein na aa jaayein tumhaare aansoo
boondon aks jhalakta hai jo har aansoo mein
ban gaye bheegi hui raat ke taare aansoo

meh ki kyoon ki tarah ho gaye saste kyun aaj
motiyon se kahi mahange the tumhaare aansoo
saaf iqaar-e-mohabbat ho zabaan se hoonai
aankh mein aa gaye yoon sharm ke maare aansoo
hijr abhi door hai main paas hoon ai kyoon
kyun hue jaate hain bechain tumhaare aansoo

subh-dam dekh na le koi ye bheega aanchal
meri garebaan kahi kha den na tumhaare aansoo
apne daamaan o ko main kyun pesh karoon
hain mere ishq ka inaam tumhaare aansoo
dam-e-rukhsat hai qareeb ai gham-e-furqat khush ho
karne waale hain judaai ke ishaare aansoo

sadqe us jaan-e-mohabbat ke main akhtar jis ke
raat bhar bahte rahe shauq ke maare aansoo

"आँसू"

मेरे पहलू में जो बह निकले तुम्हारे आँसू
बन गए शाम-ए-मोहब्बत के सितारे आँसू
देख सकता है भला कौन ये पारे आँसू
मेरी आँखों में न आ जाएँ तुम्हारे आँसू
शम्अ का अक्स झलकता है जो हर आँसू में
बन गए भीगी हुई रात के तारे आँसू
मेंह की बूँदों की तरह हो गए सस्ते क्यूँ आज
मोतियों से कहीं महँगे थे तुम्हारे आँसू
साफ़ इक़रार-ए-मोहब्बत हो ज़बाँ से क्यूँकर
आँख में आ गए यूँ शर्म के मारे आँसू
हिज्र अभी दूर है मैं पास हूँ ऐ जान-ए-वफ़ा
क्यूँ हुए जाते हैं बेचैन तुम्हारे आँसू
सुब्ह-दम देख न ले कोई ये भीगा आँचल
मेरी चुग़ली कहीं खा दें न तुम्हारे आँसू
अपने दामान ओ गरेबाँ को मैं क्यूँ पेश करूँ
हैं मिरे इश्क़ का इनआम तुम्हारे आँसू
दम-ए-रुख़्सत है क़रीब ऐ ग़म-ए-फ़ुर्क़त ख़ुश हो
करने वाले हैं जुदाई के इशारे आँसू
सदक़े उस जान-ए-मोहब्बत के मैं 'अख़्तर' जिस के
रात भर बहते रहे शौक़ के मारे आँसू

  - Akhtar Shirani

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Akhtar Shirani

As you were reading Shayari by Akhtar Shirani

Similar Writers

our suggestion based on Akhtar Shirani

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari