haath pakad le ab bhi tera ho saka hoon main
bheed bahut hai is mele mein kho saka hoon main
peeche chhoote saathi mujh ko yaad aa jaate hain
warna daud mein sab se aage ho saka hoon main
kab samjhenge jin ki khaatir phool bichaata hoon
raahguzar mein kaante bhi to bo saka hoon main
ik chhota sa baccha mujh mein ab tak zinda hai
chhoti chhoti baat pe ab bhi ro saka hoon main
sannaate mein dahshat har pal goonja karti hai
is jungle mein chain se kaise so saka hoon main
soch samajh kar chattaanon se uljha hoon warna
bahti ganga mein haathon ko dho saka hoon main
हाथ पकड़ ले अब भी तेरा हो सकता हूँ मैं
भीड़ बहुत है इस मेले में खो सकता हूँ मैं
पीछे छूटे साथी मुझ को याद आ जाते हैं
वर्ना दौड़ में सब से आगे हो सकता हूँ मैं
कब समझेंगे जिन की ख़ातिर फूल बिछाता हूँ
राहगुज़र में काँटे भी तो बो सकता हूँ मैं
इक छोटा सा बच्चा मुझ में अब तक ज़िंदा है
छोटी छोटी बात पे अब भी रो सकता हूँ मैं
सन्नाटे में दहशत हर पल गूँजा करती है
इस जंगल में चैन से कैसे सो सकता हूँ मैं
सोच समझ कर चट्टानों से उलझा हूँ वर्ना
बहती गंगा में हाथों को धो सकता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alam Khursheed
our suggestion based on Alam Khursheed
As you were reading Nature Shayari Shayari