waqt se pehle darakhton pe samar aane lage | वक़्त से पहले दरख़्तों पे समर आने लगे - Alam Khursheed

waqt se pehle darakhton pe samar aane lage
raat aayi bhi nahin khwaab-e-seher aane lage

main ne pehla hi qadam rakha hai dariya mein abhi
khair-maqdam ke liye kitne bhanwar aane lage

kya khata ho gai sarzad main isee soch mein hoon
sang ke badle meri samt guhar aane lage

is liye zill-e-ilaahi se khafa hain raatein
un ke aiwaan mein kyun khaak-basar aane lage

aap kuchh aur hain aashiq ise kahte hain miyaan
jis ko har cheez mein mehboob nazar aane lage

khair maange kisi dushman ke liye ab aalam
ain mumkin hai duaon mein asar aane lage

वक़्त से पहले दरख़्तों पे समर आने लगे
रात आई भी नहीं ख़्वाब-ए-सहर आने लगे

मैं ने पहला ही क़दम रक्खा है दरिया में अभी
ख़ैर-मक़्दम के लिए कितने भँवर आने लगे

क्या ख़ता हो गई सरज़द मैं इसी सोच में हूँ
संग के बदले मिरी सम्त गुहर आने लगे

इस लिए ज़िल्ल-ए-इलाही से ख़फ़ा हैं रातें
उन के ऐवान में क्यूँ ख़ाक-बसर आने लगे

आप कुछ और हैं आशिक़ इसे कहते हैं मियाँ
जिस को हर चीज़ में महबूब नज़र आने लगे

ख़ैर माँगें किसी दुश्मन के लिए अब 'आलम'
ऐन मुमकिन है दुआओं में असर आने लगे

- Alam Khursheed
0 Likes

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari