bah raha tha ek dariya khwaab mein | बह रहा था एक दरिया ख़्वाब में

  - Alam Khursheed

bah raha tha ek dariya khwaab mein
rah gaya main phir bhi tishna khwaab mein

jee raha hoon aur duniya mein magar
dekhta hoon aur duniya khwaab mein

is zameen par tu nazar aata nahin
bas gaya hai jo saraapa khwaab mein

roz aata hai mera gham baantne
aasmaan se ik sitaara khwaab mein

muddaton se dil hai us ka muntazir
koi wa'da kar gaya tha khwaab mein

kya yaqeen aa jaayega us shakhs ko
us ki baabat jo bhi dekha khwaab mein

ek basti hai jahaan khush hain sabhi
dekh leta hoon main kya kya khwaab mein

asl duniya mein tamaashe kam hain kya
kyun nazar aaye tamasha khwaab mein

khol kar aankhen pashemaan hoon bahut
kho gaya jo kuchh mila tha khwaab mein

kya hua hai mujh ko aalam in dinon
main ghazal kehta nahin tha khwaab mein

बह रहा था एक दरिया ख़्वाब में
रह गया मैं फिर भी तिश्ना ख़्वाब में

जी रहा हूँ और दुनिया में मगर
देखता हूँ और दुनिया ख़्वाब में

इस ज़मीं पर तू नज़र आता नहीं
बस गया है जो सरापा ख़्वाब में

रोज़ आता है मिरा ग़म बाँटने
आसमाँ से इक सितारा ख़्वाब में

मुद्दतों से दिल है उस का मुंतज़िर
कोई वा'दा कर गया था ख़्वाब में

क्या यक़ीं आ जाएगा उस शख़्स को
उस की बाबत जो भी देखा ख़्वाब में

एक बस्ती है जहाँ ख़ुश हैं सभी
देख लेता हूँ मैं क्या क्या ख़्वाब में

अस्ल दुनिया में तमाशे कम हैं क्या
क्यूँ नज़र आए तमाशा ख़्वाब में

खोल कर आँखें पशेमाँ हूँ बहुत
खो गया जो कुछ मिला था ख़्वाब में

क्या हुआ है मुझ को 'आलम' इन दिनों
मैं ग़ज़ल कहता नहीं था ख़्वाब में

  - Alam Khursheed

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari