ab chat pe koi chaand tahalta hi nahin hai
dil mera magar pahluu badalta hi nahin hai
kab se main yahan but bana baitha hoon sar-e-raah
but hai ki shivaale se nikalta hi nahin hai
sone ki jagah roz badalta hoon main lekin
vo khwaab kisi tarah badalta hi nahin hai
main kheenchta rehta hoon use dil se shab-o-roz
vo teer mere dil se nikalta hi nahin hai
अब छत पे कोई चाँद टहलता ही नहीं है
दिल मेरा मगर पहलू बदलता ही नहीं है
कब से मैं यहाँ बुत बना बैठा हूँ सर-ए-राह
बुत है कि शिवाले से निकलता ही नहीं है
सोने की जगह रोज़ बदलता हूँ मैं लेकिन
वो ख़्वाब किसी तरह बदलता ही नहीं है
मैं खींचता रहता हूँ उसे दिल से शब-ओ-रोज़
वो तीर मिरे दिल से निकलता ही नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alam Khursheed
our suggestion based on Alam Khursheed
As you were reading Chaand Shayari Shayari