thapak thapak ke jinhen ham sulaate rahte hain | थपक थपक के जिन्हें हम सुलाते रहते हैं

  - Alam Khursheed

thapak thapak ke jinhen ham sulaate rahte hain
vo khwaab ham ko hamesha jagaate rahte hain

umeedein jaagti rahti hain soti rahti hain
dariche sham'a jalate bujhaate rahte hain

na jaane kis ka hamein intizaar rehta hai
ki baam-o-dar ko hamesha sajaate rahte hain

kisi ko dhoondte hain ham kisi ke paikar mein
kisi ka chehra kisi se milaate rahte hain

vo naqsh-e-khwaab mukammal kabhi nahin hota
tamaam umr jise ham banaate rahte hain

usi ka aks har ik rang mein jhalakta hai
vo ek dard jise sab chhupaate rahte hain

hamein khabar hai kabhi laut kar na aayenge
gaye dinon ko magar ham bulaate rahte hain

ye khel sirf tumheen khelte nahin aalam
sabhi khala mein lakeeren banaate rahte hain

थपक थपक के जिन्हें हम सुलाते रहते हैं
वो ख़्वाब हम को हमेशा जगाते रहते हैं

उमीदें जागती रहती हैं सोती रहती हैं
दरीचे शम्अ जलाते बुझाते रहते हैं

न जाने किस का हमें इंतिज़ार रहता है
कि बाम-ओ-दर को हमेशा सजाते रहते हैं

किसी को ढूँडते हैं हम किसी के पैकर में
किसी का चेहरा किसी से मिलाते रहते हैं

वो नक़्श-ए-ख़्वाब मुकम्मल कभी नहीं होता
तमाम उम्र जिसे हम बनाते रहते हैं

उसी का अक्स हर इक रंग में झलकता है
वो एक दर्द जिसे सब छुपाते रहते हैं

हमें ख़बर है कभी लौट कर न आएँगे
गए दिनों को मगर हम बुलाते रहते हैं

ये खेल सिर्फ़ तुम्हीं खेलते नहीं 'आलम'
सभी ख़ला में लकीरें बनाते रहते हैं

  - Alam Khursheed

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari