main jidhar jaaun mera khwaab nazar aata hai
ab ta'aqub mein vo mahtaab nazar aata hai
goonjti rahti hain saahil ki sadaaein mujh mein
aur samundar mujhe betaab nazar aata hai
itna mushkil bhi nahin yaar ye maujon ka safar
har taraf kyun tujhe girdaab nazar aata hai
kyun hiraasaan hai zara dekh to gehraai mein
kuchh chamakta sa tah-e-aab nazar aata hai
main to tapta hua sehra hoon mujhe khwaabon mein
be-sabab khitaa-e-shaadaab nazar aata hai
raah chalte hue bechaari tahee-dasti ko
sang bhi gauhar-e-naayaab nazar aata hai
ye naye daur ka bazaar hai aalam'-saahib
is jagah taat bhi kam-khwaab nazar aata hai
मैं जिधर जाऊँ मिरा ख़्वाब नज़र आता है
अब तआक़ुब में वो महताब नज़र आता है
गूँजती रहती हैं साहिल की सदाएँ मुझ में
और समुंदर मुझे बेताब नज़र आता है
इतना मुश्किल भी नहीं यार ये मौजों का सफ़र
हर तरफ़ क्यूँ तुझे गिर्दाब नज़र आता है
क्यूँ हिरासाँ है ज़रा देख तो गहराई में
कुछ चमकता सा तह-ए-आब नज़र आता है
मैं तो तपता हुआ सहरा हूँ मुझे ख़्वाबों में
बे-सबब ख़ित्ता-ए-शादाब नज़र आता है
राह चलते हुए बेचारी तही-दस्ती को
संग भी गौहर-ए-नायाब नज़र आता है
ये नए दौर का बाज़ार है 'आलम'-साहिब
इस जगह टाट भी कम-ख़्वाब नज़र आता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alam Khursheed
our suggestion based on Alam Khursheed
As you were reading Fantasy Shayari Shayari