koi bhi shay kahaan naayaab hai hamaare liye
khula hua to dar-e-khwaab hai hamaare liye
hamein hi raushni us ki nazar nahin aati
charaagh to pas-e-mehraab hai hamaare liye
palak jhapakte hi sab kuchh naya sa lagta hai
ye zindagi bhi koi khwaab hai hamaare liye
utarte jaate hain pahnaaiyon mein dariya ki
ki jaltee sham'a tah-e-aab hai hamaare liye
humeen ne band kiye hain tamaam darwaaze
ye shehar aaj bhi betaab hai hamaare liye
bas ek mauj ne ye haal kar diya apna
har ek mauj hi girdaab hai hamaare liye
har ek shakhs ke da'we alag alag aalam
agarche baam pe mahtaab hai hamaare liye
कोई भी शय कहाँ नायाब है हमारे लिए
खुला हुआ तो दर-ए-ख़्वाब है हमारे लिए
हमें ही रौशनी उस की नज़र नहीं आती
चराग़ तो पस-ए-मेहराब है हमारे लिए
पलक झपकते ही सब कुछ नया सा लगता है
ये ज़िंदगी भी कोई ख़्वाब है हमारे लिए
उतरते जाते हैं पहनाइयों में दरिया की
कि जलती शम्अ' तह-ए-आब है हमारे लिए
हमीं ने बंद किए हैं तमाम दरवाज़े
ये शहर आज भी बेताब है हमारे लिए
बस एक मौज ने ये हाल कर दिया अपना
हर एक मौज ही गिर्दाब है हमारे लिए
हर एक शख़्स के दा'वे अलग अलग 'आलम'
अगरचे बाम पे महताब है हमारे लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alam Khursheed
our suggestion based on Alam Khursheed
As you were reading Anjam Shayari Shayari