siyaah raat ke badan pe daagh ban ke rah gaye | सियाह रात के बदन पे दाग़ बन के रह गए

  - Alam Khursheed

siyaah raat ke badan pe daagh ban ke rah gaye
ham aftaab the magar charaagh ban ke rah gaye

kisi ko ishq mein bhi ab junoon se vaasta nahin
ye kya hua ki saare dil dimaagh ban ke rah gaye

vo shaakh shaakh neele peele laal rang kya hue
tamaam dasht ke parind zaagh ban ke rah gaye

jinhen ye zo'm tha zameen se tishnagi mitaayenge
ajab hua wahi tahee-ayaagh ban ke rah gaye

milega sab ko apna haq rahenge sab sukoon se
magar vo saare wa'de sabz baagh ban ke rah gaye

ujaadte hain roz ham basi-basaai bastiyaan
khusa vo log jo makeen-e-raagh ban ke rah gaye

सियाह रात के बदन पे दाग़ बन के रह गए
हम आफ़्ताब थे मगर चराग़ बन के रह गए

किसी को इश्क़ में भी अब जुनूँ से वास्ता नहीं
ये क्या हुआ कि सारे दिल दिमाग़ बन के रह गए

वो शाख़ शाख़ नीले पीले लाल रंग क्या हुए
तमाम दश्त के परिंद ज़ाग़ बन के रह गए

जिन्हें ये ज़ो'म था ज़मीं से तिश्नगी मिटाएँगे
अजब हुआ वही तही-अयाग़ बन के रह गए

मिलेगा सब को अपना हक़ रहेंगे सब सुकून से
मगर वो सारे वा'दे सब्ज़ बाग़ बन के रह गए

उजाड़ते हैं रोज़ हम बसी-बसाई बस्तियाँ
ख़ुशा वो लोग जो मकीन-ए-राग़ बन के रह गए

  - Alam Khursheed

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari