tire khayal ko zanjeer karta rehta hoon | तिरे ख़याल को ज़ंजीर करता रहता हूँ

  - Alam Khursheed

tire khayal ko zanjeer karta rehta hoon
main apne khwaab ki taabeer karta rehta hoon

tamaam rang adhoore lage tire aage
so tujh ko lafz mein tasveer karta rehta hoon

jo baat dil se zabaan tak safar nahin karti
usi ko sher mein tahreer karta rehta hoon

dukhon ko apne chhupata hoon main dafeenon sa
magar khushi ko hama-geer karta rehta hoon

guzishta rut ka ameen hoon naye makaan mein bhi
puraani eent se ta'aamir karta rehta hoon

mujhe bhi shauq hai duniya ko zer karne ka
main apne aap ko taskheer karta rehta hoon

zameen hai ki badalti nahin kabhi mehwar
main kaisi kaisi tadaabeer karta rehta hoon

jo main hoon us ko chhupata hoon saare aalam se
jo main nahin hoon vo tashheer karta rehta hoon

तिरे ख़याल को ज़ंजीर करता रहता हूँ
मैं अपने ख़्वाब की ताबीर करता रहता हूँ

तमाम रंग अधूरे लगे तिरे आगे
सो तुझ को लफ़्ज़ में तस्वीर करता रहता हूँ

जो बात दिल से ज़बाँ तक सफ़र नहीं करती
उसी को शेर में तहरीर करता रहता हूँ

दुखों को अपने छुपाता हूँ मैं दफ़ीनों सा
मगर ख़ुशी को हमा-गीर करता रहता हूँ

गुज़िश्ता रुत का अमीं हूँ नए मकान में भी
पुरानी ईंट से ता'मीर करता रहता हूँ

मुझे भी शौक़ है दुनिया को ज़ेर करने का
मैं अपने आप को तस्ख़ीर करता रहता हूँ

ज़मीन है कि बदलती नहीं कभी मेहवर
मैं कैसी कैसी तदाबीर करता रहता हूँ

जो मैं हूँ उस को छुपाता हूँ सारे आलम से
जो मैं नहीं हूँ वो तश्हीर करता रहता हूँ

  - Alam Khursheed

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari