naye sire se koi safar aaghaaz nahin karta
jaane kyun ab dil mera parvaaz nahin karta
kitni buri aadat hai main khaamosh hi rehta hoon
jab tak mujh se koi sukhun aaghaaz nahin karta
kaise zinda rehta hoon main zahar ko pee kar ab
deewar-o-dar ko bhi to hamraaz nahin karta
taaza hawa ke jhonke akshar aate rahte hain
aakhir kyun main apne dariche baaz nahin karta
jaane kaisa raag bajana seekh liya dil ne
meri sangat ab koi dam-saaz nahin karta
ahl-e-hunr ki aankhon mein kyun chubhta rehta hoon
main to apni be-hunri par naaz nahin karta
mujh mein kuchh hoga to duniya khud jhuk jaayegi
main neze par sar apna afraaz nahin karta
waqt ke saare chakkar hain ye aalam'-jee warna
yahan kisi ko koi nazar-andaaz nahin karta
नए सिरे से कोई सफ़र आग़ाज़ नहीं करता
जाने क्यूँ अब दिल मेरा परवाज़ नहीं करता
कितनी बुरी आदत है मैं ख़ामोश ही रहता हूँ
जब तक मुझ से कोई सुख़न आग़ाज़ नहीं करता
कैसे ज़िंदा रहता हूँ मैं ज़हर को पी कर अब
दीवार-ओ-दर को भी तो हमराज़ नहीं करता
ताज़ा हवा के झोंके अक्सर आते रहते हैं
आख़िर क्यूँ मैं अपने दरीचे बाज़ नहीं करता
जाने कैसा राग बजाना सीख लिया दिल ने
मेरी संगत अब कोई दम-साज़ नहीं करता
अहल-ए-हुनर की आँखों में क्यूँ चुभता रहता हूँ
मैं तो अपनी बे-हुनरी पर नाज़ नहीं करता
मुझ में कुछ होगा तो दुनिया ख़ुद झुक जाएगी
मैं नेज़े पर सर अपना अफ़राज़ नहीं करता
वक़्त के सारे चक्कर हैं ये 'आलम'-जी वर्ना
यहाँ किसी को कोई नज़र-अंदाज़ नहीं करता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Alam Khursheed
our suggestion based on Alam Khursheed
As you were reading Haya Shayari Shayari