zara si dhoop zara si nami ke aane se | ज़रा सी धूप ज़रा सी नमी के आने से - Alam Khursheed

zara si dhoop zara si nami ke aane se
main jee utha hoon zara taazgi ke aane se

udaas ho gaye ik pal mein shaadmaan chehre
mere labon pe zara si hasi ke aane se

dukhon ke yaar bichhadne lage hain ab mujh se
ye saanehaa bhi hua hai khushi ke aane se

karkht hone lage hain bujhe hue lehje
mere mizaaj mein shaistagi ke aane se

bahut sukoon se rahte the ham andhere mein
fasaad paida hua raushni ke aane se

yaqeen hota nahin shehr-e-dil achaanak yun
badal gaya hai kisi ajnabi ke aane se

main rote rote achaanak hi hans pada aalam
tamaash-beeno mein sanjeedgi ke aane se

ज़रा सी धूप ज़रा सी नमी के आने से
मैं जी उठा हूँ ज़रा ताज़गी के आने से

उदास हो गए इक पल में शादमाँ चेहरे
मिरे लबों पे ज़रा सी हँसी के आने से

दुखों के यार बिछड़ने लगे हैं अब मुझ से
ये सानेहा भी हुआ है ख़ुशी के आने से

करख़्त होने लगे हैं बुझे हुए लहजे
मिरे मिज़ाज में शाइस्तगी के आने से

बहुत सुकून से रहते थे हम अँधेरे में
फ़साद पैदा हुआ रौशनी के आने से

यक़ीन होता नहीं शहर-ए-दिल अचानक यूँ
बदल गया है किसी अजनबी के आने से

मैं रोते रोते अचानक ही हँस पड़ा 'आलम'
तमाश-बीनों में संजीदगी के आने से

- Alam Khursheed
1 Like

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari