tum jis ko dhoondte ho ye mehfil nahin hai vo | तुम जिस को ढूँडते हो ये महफ़िल नहीं है वो

  - Alam Khursheed

tum jis ko dhoondte ho ye mehfil nahin hai vo
logon ke is hujoom mein shaamil nahin hai vo

raston ke pech-o-kham ne kahi aur la diya
jaana hamein jahaan tha ye manzil nahin hai vo

dariya ke rukh ko mod ke aaye to ye khula
saahil ke rang aur hain saahil nahin hai vo

duniya mein bhaag-daud ka haasil yahi to hai
haasil har ek cheez hai haasil nahin hai vo

aalam dil-e-aseer ko samjhaaoon kis tarah
kam-bakht e'tibaar ke qaabil nahin hai vo

तुम जिस को ढूँडते हो ये महफ़िल नहीं है वो
लोगों के इस हुजूम में शामिल नहीं है वो

रस्तों के पेच-ओ-ख़म ने कहीं और ला दिया
जाना हमें जहाँ था ये मंज़िल नहीं है वो

दरिया के रुख़ को मोड़ के आए तो ये खुला
साहिल के रंग और हैं साहिल नहीं है वो

दुनिया में भाग-दौड़ का हासिल यही तो है
हासिल हर एक चीज़ है हासिल नहीं है वो

'आलम' दिल-ए-असीर को समझाऊँ किस तरह
कम-बख़्त ए'तिबार के क़ाबिल नहीं है वो

  - Alam Khursheed

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari