hamein apni masafat be-maza karna nahin hai | हमें अपनी मसाफ़त बे-मज़ा करना नहीं है

  - Alam Khursheed

hamein apni masafat be-maza karna nahin hai
safar karna hai manzil ka pata karna nahin hai

bala se ham kisi saahil pe pahunche ya na pahunche
kisi bhi nakhuda ko ab khuda karna nahin hai

hawaon se hi qaaim hai hamaari zau-fishaani
hawaon se charaagon ko juda karna nahin hai

badalte waqt ke tevar parakhnaa chahte hain
kaha kis ne buzurgon ka kaha karna nahin hai

tumheen zaamin ho meri zindagi ke mere khwaabo
tumhein ik pal bhi aankhon se rihaa karna nahin hai

kai aashufta-sar mil jaayenge raaste mein aalam
kisi ke vaaste ham ko sada karna nahin hai

हमें अपनी मसाफ़त बे-मज़ा करना नहीं है
सफ़र करना है मंज़िल का पता करना नहीं है

बला से हम किसी साहिल पे पहुँचें या न पहुँचें
किसी भी नाख़ुदा को अब ख़ुदा करना नहीं है

हवाओं से ही क़ाएम है हमारी ज़ौ-फ़िशानी
हवाओं से चराग़ों को जुदा करना नहीं है

बदलते वक़्त के तेवर परखना चाहते हैं
कहा किस ने बुज़ुर्गों का कहा करना नहीं है

तुम्हीं ज़ामिन हो मेरी ज़िंदगी के मेरे ख़्वाबो
तुम्हें इक पल भी आँखों से रिहा करना नहीं है

कई आशुफ़्ता-सर मिल जाएँगे रस्ते में 'आलम'
किसी के वास्ते हम को सदा करना नहीं है

  - Alam Khursheed

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari