khade hain der se ahbaab dekhne ke liye | खड़े हैं देर से अहबाब देखने के लिए

  - Alam Khursheed

khade hain der se ahbaab dekhne ke liye
mera safeena tah-e-aab dekhne ke liye

khuli jo aankh to ham doobte nazar aaye
gaye the door se girdaab dekhne ke liye

abas pareshaan hain ta'beer ki tag-o-dau mein
mili hai neend hamein khwaab dekhne ke liye

taras rahi hai mere dasht ki fazaa kab se
kisi darakht ko shaadaab dekhne ke liye

udaan bharne lage hain tuyoor-o-tayyaare
qareeb-o-door se sailaab dekhne ke liye

suna hai main ne hawaaein bhi be-qaraar hain ab
mere diye ko zafar-yaab dekhne ke liye

nazar jhukaaye khadi hain aqeedaten aalam
shikast-e-gumbad-o-mehraab dekhne ke liye

खड़े हैं देर से अहबाब देखने के लिए
मिरा सफ़ीना तह-ए-आब देखने के लिए

खुली जो आँख तो हम डूबते नज़र आए
गए थे दूर से गिर्दाब देखने के लिए

अबस परेशाँ हैं ता'बीर की तग-ओ-दौ में
मिली है नींद हमें ख़्वाब देखने के लिए

तरस रही है मिरे दश्त की फ़ज़ा कब से
किसी दरख़्त को शादाब देखने के लिए

उड़ान भरने लगे हैं तुयूर-ओ-तय्यारे
क़रीब-ओ-दूर से सैलाब देखने के लिए

सुना है मैं ने हवाएँ भी बे-क़रार हैं अब
मिरे दिए को ज़फ़र-याब देखने के लिए

नज़र झुकाए खड़ी हैं अक़ीदतें 'आलम'
शिकस्त-ए-गुंबद-ओ-मेहराब देखने के लिए

  - Alam Khursheed

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Alam Khursheed

As you were reading Shayari by Alam Khursheed

Similar Writers

our suggestion based on Alam Khursheed

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari